Wednesday, 14 January 2015

Best Of Jagjit Singh (HQ)

Songs in this video:

1. Aaya Hain Samjhane Log
2. Agar Hum Kahen
3. Bahut Pehele Se Un Kadmon
4. Jab Kabhie Tera Naam
5. Jhoothi Sachchi Aas Pe Jeena
6. Manzil Na De Charagh Na De
7. Mera Jaise Ban Jaoge
8. Milkar Juda Huye
9. Pehle To Aapne Dil Ki Raza Jaan Jaiye
10. Socha Nahin Achha Bura
11. Suna Tha Ki Woh Aayenge Anjuman Mein
12. Unki Hasrat Hai
13. Babul Mora Naihar
14. Tum Itna Jo Muskura
15. Jhuki Jhuki Si Nazar
16. Koi Yeh Kaise Bataye
17. Tum Ko Dekha To
18. Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar
19. Ye Bata De Mujhe Zindagi
20. Mere Dil Mein Tu Hi Tu Hai
21. Wah Kagazki Kashti 
22. Phir Aaj Mujhe
23. Hamsafar Banke Ham
24. Chithi Na Koi Sandesh
25. Chareyan Di Joon Buri
26. Dhai Din Na Jawani Naal
27. Eh Mera Geet Kise Na Gana
28. Gamma Di Raat Lani
29. Mainda Ishq
30. Mainu Tera Shabab
31. Maye Ni Main Ek Saikra Yaar
32. Maye Ni Maye Mere Geetan De Naina Vich
33. Raat Kar Gayi Tara Tara
34. Rog Ban Ke Raha Giya
35. Sare Pind Ch Puare Paye
36. Saun Da Mahina
37. Yarian Rab Kar Ke
38. Ishq

39. Kandyali Thor


LATA MEERA BHAJANS 1968 FULL VINYL IN ONE TRACK MD HRIDAYNATH MANGESHKAR


Eight of the best of Meera bhajans are presented in this disc by Lata Mangeshkar.

SANVARO NANDNANDAN 
KINUN SANG KHELUN HOLI 
MHARA RE GIRDHAR GOPAL 
THANE KANEE 
MAEE MHANO SUPNAMA
OJI HARI KIT GAYE 
RAMAIYA BIN NIND NA AAVE 
SANVARA MARI PREET NIBHAJONJI

Meera - Songs Collection - Hema Malini - Vani Jairam - Pt. Ravi Shankar ...

Mere To Giridhar Gopal - 00:00:10
Baala Main Bairaagan - 00:03:07
Karuna Suno Shyam More - 00:06:42
Ranaji Main To Govind - 00:08:03
Main Sanware Ke Rang Rachi - 00:11:28
Jaago Bansiwale - 00:13:47
Jo Tum Todo Piya - 00:17:16
Karna Fakiri Phir Kya Dilgiri - 00:21:23
Mere To Giridhar Gopal 2 - 00:23:21
Main To Prem Deewani - 00:27:44

Movie: Meera
Music Director: Pandit Ravi Shankar
Singers: Vani Jairam
Director: Gulzar

Jogi Mat Ja Mat Ja Juthika Roy A Meera Bai Bhajan.

Juthika Roy: Bolre, Madhuban mein Muraliya...

Juthika Roy... Ghazal.

Wednesday, 7 January 2015

Pete Seeger Live in Santa Monica full-show audio 05/20/97

In great sadness and loving memory of Pete Seeger, I'd like to share this original and newly remastered recording of his 1997 performance at the Ash Grove, a small club on the Santa Monica pier. 

Setlist:
Solo Instrumental (on recorder)
Midnight Special
You've got to Walk that Lonesome Valley
One Blue Sky Above Us
Arthur McBride (Tao on lead vocals)
I'm Fixin'-To-Die Rag
Arrange And Rearrange
If I Had A Hammer
Guantanamera
All Mixed Up
Juba
English Is Cuh-Ray-Zee
Satisfied Mind
Blue Skies
My Dirty Stream
Sailin' Up, Sailin' Down
We'll All Be A-Doubling
Deportee (Plane Wreck At Los Gatos)
Go Down, Moses
Get Up & Go

Performing with his grandson Tao Rodriguez.


Pete Seeger - I Can See A New Day (full album)

Side A:
This Land Is Your Land - 00:00
Oh What A Beautiful City - 03:00
Healing River - 05:52
Follow The Drinkin' Gourd - 08:38
Viva La Quince Brigada - 11:24
Oh Louisianna - 14:44
The Bells Of Rhymney - 17:06

Side B:
Go Down Old Hannah - 22:22
How Can I Keep From Singing - 28:06
Mrs. McGrath - 30:20
Ms. Clara Sullivan's Letter - 33:56
(The Ring On My Finger Is) Johnny Give Me - 37:31
I Come And Stand On Every Door - 39:49

I Can See A New Day - 43:18

Pete Seeger - I Can See A New Day (full album)

Side A:
This Land Is Your Land - 00:00
Oh What A Beautiful City - 03:00
Healing River - 05:52
Follow The Drinkin' Gourd - 08:38
Viva La Quince Brigada - 11:24
Oh Louisianna - 14:44
The Bells Of Rhymney - 17:06

Side B:
Go Down Old Hannah - 22:22
How Can I Keep From Singing - 28:06
Mrs. McGrath - 30:20
Ms. Clara Sullivan's Letter - 33:56
(The Ring On My Finger Is) Johnny Give Me - 37:31
I Come And Stand On Every Door - 39:49

I Can See A New Day - 43:18

Pete Seeger - I Can See A New Day (full album)

Side A:
This Land Is Your Land - 00:00
Oh What A Beautiful City - 03:00
Healing River - 05:52
Follow The Drinkin' Gourd - 08:38
Viva La Quince Brigada - 11:24
Oh Louisianna - 14:44
The Bells Of Rhymney - 17:06

Side B:
Go Down Old Hannah - 22:22
How Can I Keep From Singing - 28:06
Mrs. McGrath - 30:20
Ms. Clara Sullivan's Letter - 33:56
(The Ring On My Finger Is) Johnny Give Me - 37:31
I Come And Stand On Every Door - 39:49
I Can See A New Day - 43:18

Tuesday, 6 January 2015

Jab Nazar Se Milayi Maza Aa Gaya - Nusrat Fateh Ali Khan

Lyrics/Poet: Fana Baland Sheri

mere rashk-e-qamar tune pehli nazar, jab nazar se milayi maza aa gaya
barq si gir gayi kam hi kar gayi, aag aisi la gayi maza aa gaya

jam mein ghol kar husn ki mastian, chandni muskurayi maza aa gaya
chand ke saye mein ae mere saqia, tune aisi pilayi maza aa gaya

nasha shishe mein angri lene laga, bazm-e-rinda mein sagar khanakne laga
mae-kade pe barasne lagin mastian, jab ghata ghir ke chayi maza aa gaya

behijabana woh samne aa gaye, aur jawani jawani se takra gayi
aankh unki lari, yun meri aankh se, dekh kar yeh larayi mazah aa gaya

aankh mein thi haya, har mulaqat per, surkh aarid hue wasl ki baat par
usne sharma ke mere sawalat pe, aise gardan jhukayi maza aa gaya

sheikh sahib ka iman bikhi gaya, dekh kar husn-e-saqi pighal hi gaya
aaj se pehle yeh kitne maghur te, lutt gayi parsayi mazah aa gaya

ae fana shukar hai aaj bade fana, usne rakhli mere pyar ki aabru,
apne haathon se usne meri qabr pe, chadare gul charhayi maza aa gaya

mere rashk-e-qamar tune pehli nazar, jab nazar se milayi maza aa gaya....


English Translation


O' envy of the moon, I reached the zenith of pleasure when our eyes met,
Lightning struck and finished me, igniting an inextinguishable fire

The moonlight smiles a cruel smile, having mixed the seductions of your beauty in my drink
You my enticer, make me drink such a wine, in the shadow of the moon, that shall be the end of me

In the company of barkeeps, when my doom yawns in its glass,
Dark clouds abound, the bar is drenched in excitement, such stupor will bring me to death

Such climactic splendours of youth meet, when my beloved shows up unveiled
Tis a lovely battle this which our eyes engage in, when they meet

My beloved blushes, upon the mention of meeting, such is the modesty in her eyes everynight
My beloved lowers her head on my questions, such timidness will take my life

Spellbound & vanqished by the beauty of my barkeep, Sheikh lost his faith
How proud & righteous was he before this, lost the piety to one fatal glance

O death I'm thankful that after death, she honoured my love With her own hands, she spread a sheet of roses, such pleasure will kill me


Shikwa (Solo) - Nusrat Fateh Ali Khan


The poet is not Nusrat Sahab the Poet Is Allama MOhammad Iqbal 


Kyon Ziaan kaar banun, sood faramosh rahoon?

Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon,
Naale bulbul ke sunoon, aur hama tan gosh rahoon,
Hamnawa main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon?
Jurrat aamoz meri taab-e-sakhun hai mujhko,
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko. 

Aye Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le,
Khu gar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le.
Thi toh maujood azal se hi teri zaat-e-qadim,
Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shamim;
Shart insaaf hai, aye, sahib-e-altaf-e-amim,
Boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim?

Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzir,
Kahin masjood the patthar, kahin maabood shajar,
Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar,
Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar?
Tujhko maaloom hai leta tha koi naam tera?
Quwwat-e-baazoo-e-Muslim ne kiya kaam tera! 

Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi,
Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi,
Isi maamoore mein aabad the Yunaani bhi,
Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nusraani bhi,
Par tere naam pe talwar uthai kis ne,
Baat jo bigdi huyi thi woh banayi kis ne? 

Te hameen ek tere maarka aaraaon mein!
Khushkion mein kabhi ladte, kabhi dariyaon mein,
Di azaanen kabhi Europe ke kaleesaaon mein,
Kabhi Africa ke tapte huye sahraaon mein.
Thi na kuchh teg zani apni hakumat ke liye,
Sar ba-kaf phirte the kya dahar mein daulat ke liye? 

Qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti,
But faroshi ke iwaz but shikni kyon karti?
Naqsh tauheed ka har dil pe bithaya humne,
Zer-e-khanjar bhi yeh paigham sunaya humne.
Tu hi kade ke ukhada dar-e-Khyber kis ne,
Shaher qaiser ka jo tha us ko kiya sar kis ne? 
Tore makhluq khudawandon ke paikar kis ne?
Kaat kar rakh diye kaffaar ke lashkar kis ne?

Aa gaya ain ladaai mein agar waqt-e-namaz,
Qibla roo ho ke zamin bos hui qaum-e-Hejaz,
Ekhi saf mein khade ho gaye mahmud-o-Ayaz,
No koi banda raha aur no koi banda nawaz. 
Banda-o-sahib-o-muhtaaj-o-ghani ek huye,
Teri sarkar mein pahunche toh sabhi ek huye.

Mehfil-e-kaun-o-makaan mein shar-o-shaam phire,
Mai-e-tauheed ko lekar sift-e-jam phire.
Dasht toh dasht hain, darya bhi na chhode humne,
Bahr-e-zulmaat mein dauda diye ghore humne.

Safah-e-dahar se baatil ko mitaya humne,
Nau-e-insaan ko ghulami se chhudaya humne,
Tere kabe ko jabeenon se basaya humne,
Tere Quran ko seenon se lagaya humne.
Phir bhi hum se yeh gila hai, ke wafadar nahin,
Hum wafadar nahin, tu bhi toh dildar nahin! 

Rahmaten hain teri aghiyar ke kashaanon par,
Barq girti hai toh bechare Musalmaanon par!
Yeh shikayat nahin, hain un ke khazane maamur,
Nahin mehfil mein jinhen baat bhi karne ka shaoor,
Qahar toh yeh hai ke kafir ko milen hoor-o-qasoor,
Aur bechaare Musalmaan ko faqt waada-e-hoor! 

Taan-e-aghiyaar hai, ruswai hai, nadaari hai,
Kya tere naam pe marne ka iwaz khwari hai?
Hum toh jeete hain ke duniya mein tera naam rahe,
Kahin mumkin hai saqi na rahe, jaam rahe?
Teri mehfil bhi gayi, chahne wale bhi gaye,
Shab ki aahen bhi gayi, subah ke nale bhi gaye,

Dil tujhe de bhi gaye, apna sila le bhi gaye,
Aa ke baithe bhi na the, ke nikaale bhi gaye.
Aaye ushaaq, gaye waada-e-farda lekar,
Ab unhen dhoond chirag-e-rukh-e-zeba lekar!

Dard-e-Laila bhi wohi, Qais ka pahlu bhi wohi,
Nejd ke dasht-o-jabal mein ram-e-aahoo bhi wohi, 
Ishq ka dil bhi wohi, husn ka jaadoo bhi wohi,
Ummat-e-Ahmed-e-Mursil bhi wohi, tu bhi wohi,

Phir yeh aazurdagi-e-ghair-sabab kya maani,
Apne shaidaaon pe yeh chashm-e-ghazab kya mani?
Ishq ki khair, woh pehli si ada bhi na sahi,
Jaada paimaai taslim-o-raza bhi na sahi,
Kabhi hum se, kabhi ghairon se shanasayi hai,
Baat kahne ki nahin, tu bhi toh har jayi hai.

Ade-gul khatam hua, toot gaya saze-chaman,
Ud gaye dalion se zamzama pardaze-chaman.
Ek bulbul hai ke hai mawe-tarannum ab tak,
Us ke seene mein hai naghmon ka talatam ab tak.
Qumrian shakh-e-sanober se gurezaan bhi hui,
Pattian phool ki jhad jhad ke pareshan bhi hui;

Woh purani ravishen bagh ki veeran bhi hui,
Dalian parahan-e-barg se uriaan bhi hui.
Qaid-e-mausim se tabiyat rahi aazad uski,
Kash gulshan mein samjhta koi faryaad uski. 

Chak is bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon,
Jagne wale isi bange dara se dil hon.
Yani phir zinda naye ahd-e-wafa se dil hon,
Phir isi bada-e-dirina ke pyaase dil hon.
Ajmi khum hai toh kya, ma'y toh Hejaazi hai meri,

Naghma Hindi hai toh kya, la'y toh Hejaazi hai meri.

The poet is not Nusrat Sahab the Poet Is Allama MOhammad Iqbal